jab naam tumhara aata hai......
jab naam tumhara aata hai,
jaane humko kya ho jaata hai
alfaaz halaq me rah jaate,
kahna chahte kuchh aur,
aur hi kuchh kah jaate.
siwa tumhare man ka,
sahi pata sab le jaate.
samjhaate isharon se per,
tum kuchh samajh nahin paate.
jaan kar bhi anjaan bano tum,
isse badhkar kya ho gham,
phir naam tumhara aate hi ,
ho na kyon ye aankhen num.
man sab bhoolna chahta hai
jab naam tumhara aata hai.
kintu kahan man maan paata hai,
na hamara tumhara koi naata hai
sach bhi to hai yahi.....
na maano to gham nahin.
na khoon ka rishta nahin sahi,
per tumse dil ka jo naata hai ,
voh gahra hota jaata hai,
jab naam tumhara aata hai.....